Breaking

WhatsApp Old status feature is back in 2.17.95 Beta Version for Android

WhatsApp ne haal hi mein Snapchat-like WhatsApp Status feature ko introduce kiya tha. Yeh status feature kaafi users ko pasand nahi aaya tha. Issi ke saath users ki demand thi ki text-based status ko waapis laaya jaye. Aur ab WhatsApp ke latest beta version mein isse re-introduce kar diya gya hai. WhatsApp ke Android beta version 2.17.95 mein users whatsapp old status feature ko use kar sakte hai.




Filhaal yeh feature testing phase mein hai aur jald hi stable version mein available ho jayega. Agar aap iss feature ko abhi use karna chahte hai toh aap Google Play Store mein WhatsApp beta community ko join karke latest beta version download kar sakte hai.

How to access Old Status Feature

Old status feature ko aap access karne ke liye aapko phele Settings mein jaana padega. Jiske baad About mein jaa kar aap About and phone number section mein old status option dekh payenge. Iss option mein aap wahi purane status laga payenge and yeh 24 hours ke baad disappear bhi nahi honge.

Saath saath WhatsApp ka new status (story) feature abhi bhi present hai. Ab aap text based status bhi laga payenge aur photo/video based bhi.

Follow us Social

Instagram
Facebook
Twitter
Google+

No comments:

Post a Comment